Friday 24 August 2012

KAHANI ANSUNI


Is pal ki fikar
kisi ko nahi yaha
Jeene ki parwah to hai par
Jane jindagi hai kaha

Har pal me jeene wale
Jane kaha kho gaye hai
Naye pal ki khusiyon ki khatir
Pal pal bas sab ro rahe hai

Kahaniyon ke samandar me
Jindagi mano dub rahi hai
Kahi to kuch hai jo chut raha
Ye uljhan ban kar hum se puch rahi hai

Sawalo ke jane kitne hai ped yaha
Sikayaton ne jinme apni kai jaal buni hai
Aansuon ki barish ki awaz me mano
jindagi ki kahani jaise reh gai ansuni hai

Kaas aisa koi ho
Jo har zakhm is kadar si sake
Har dard me vi lab ye muskurate
Aur jindagi apna har lamha yuhi ji sake